Shaadi Ke Baad

Shaadi Ke Baad – 84

Shaadi Ke Baad – Part 84 story update Agle do hafte kaise nikal gaye, Supriya ko khud bhi ehsaas nahi hua. Dheere dheere woh is naye mahaul ko apnane si lagi thi. Jo rangeen sapne usne London ke liye dekhe the, unse bilkul alag, ab woh is gaon ke ghar mein apne aap ko. Shaam hote hote roz wohi Iqbal ke aane ka intezaar. Iqbal ke chhehre par poore din ki thakaan, bin kuch kahe aankhon se pata nahi kitna kuch kehna, aur fir sankoch bhari raat mein ek hi palang par don. Update 82 Agle do hafte kaise nikal gaye, Supriya ko khud bhi ehsaas nahi hua. Dheere dheere woh is naye mahaul ko apnane si lagi thi. Jo rangeen sapne usne London ke liye dekhe the, unse bilkul alag, ab woh is gaon ke ghar mein apne aap ko dhalne ki koshish kar rahi thi. Hina jaise uski parchai si ban gayi thi aur Rubina uska suraksha kawach. Dono se baat karke uska din kisi tarah se poora ho jaata.  Shaam hote hote roz wohi Iqbal ke aane ka intezaar. Iqbal ke chhehre par poore din ki thakaan, bin kuch kahe aankhon se pata nahi kitna kuch kehna, aur fir sankoch bhari raat mein ek hi palang par dono ka so jaana. Ek-do baar toh sote hue Supriya ka pair Iqbal ke pairo se takra jaata. Par aisa hote hi woh turant apna pair peeche karte hue apni chaddar mein chhupa leti. Ek aur bhi baat thi is ghar mein jo kuch ajeeb si thi, Iqbal ki pehli biwi ki. Pehle hi din Supriya ne Ammi ji ki baaton mein kuch kadwahat si suni thi uski pehli biwi ke baare mein, par uske baad kisi ne uske baare mein baat hi nahi ki thi, aur aisa lagta tha ki na hi koi karna chahta tha. Ek-do baar usne Rubina se is baare mein baat bhi chhedne ki koshish kari, par Rubina baat ko taal deti. Aur doosri taraf Hina ko bhi apni pehli chachi ke baare mein kuch khaas yaad nahi tha, bas siwaye iske ki woh bhi kafi sundar hi thi. Usne bahut savdhaani se kamre mein rakhi almari bhi khangaal maari thi, par use wahan Iqbal ki biwi se juda ek …

💬 కొత్త కథలు ,ఎపిసోడ్ అప్డేట్స్ కోసం ఏదైనా డౌట్స్ ఉంటె టెలిగ్రామ్ లో జాయిన్ అవ్వండి
📲 ఇప్పుడే మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి!

📢 కొత్త కథలు వెంటనే Telegramలో!
👉 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి 👈

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
📲 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి
Join Telegram Join our Telegram Channel

Adblock Detected

please remove ad blocker