Kahani mein us din raat ko sabke saamne sach aaye 2-3 hafte beet chuke they. Sab log abhi bhi wahin they, par sab kuch badal sa gaya tha. Abbas ab ghar mein jyada waqt nahi bitata tha. Subah nikal jaata aur raat ko der se aata. Rubina chup chap ghar ka kaam karti rehti, kisi se jyada baa
Shaadi Ke Baad – Part 113 story update
Us din raat ko sabke saamne sach aaye 2-3 hafte beet chuke they. Sab log abhi bhi wahin they, par sab kuch badal sa gaya tha. Abbas ab ghar mein jyada waqt nahi bitata tha. Subah nikal jaata aur raat ko der se aata. Rubina chup chap ghar ka kaam karti rehti, kisi se jyada baat nahi karti thi. Ammi bhi khamosh rehti thi, jais.
Update 110
Us din raat ko sabke saamne sach aaye 2-3 hafte beet chuke they. Sab log abhi bhi wahin they, par sab kuch badal sa gaya tha.
Abbas ab ghar mein jyada waqt nahi bitata tha. Subah nikal jaata aur raat ko der se aata. Rubina chup chap ghar ka kaam karti rehti, kisi se jyada baat nahi karti thi. Ammi bhi khamosh rehti thi, jaise sab kuch samajh gayi ho ki kya hone wala tha par kisi se kuch keh nahi sakti thi.
Supriya ki tabiyat ab kaafi hadd tak theek ho gayi thi par ab woh neeche Hina ke saath hi soti thi. Na toh use aur na Hina ko samajh aa raha tha ki ab unka rishta kya tha. Na toh Hina uski beti ki umar ki thi aur na hi ab rishte mein woh Hina ki chachi reh gayi thi. Par shayad abhi bhi uska use Chachi bulana hi sabse theek tha.
Iqbal aur Supriya ki baat bhi kaafi kam si ho gayi thi, aur ab dono ki nazrein milti toh ajeeb sa lagta. Jaise woh ajnabi ho ya fir koi gehre dost jinki ladai ho gayi ho. Supriya ka mann baar baar Iqbal aur Rubina ke rishte ke baare mein sochta rehta, par na toh Rubina ne usse is baare mein koi baat ki thi, aur na usne us baat ko chhedne ki himmat ki thi.
Iqbal aur Abbas ki baat toh bilkul band thi. Par ek din achanak se ghar mein pata chala ki Abbas ne Khan saab se baat karke bol diya tha ki Hina ki shaadi Junaid se nahi hogi. Kisi ko samajh nahi aaya ki Abbas ka mann kaise badla – na Iqbal ko, na Rubina ko. Abbas ne khud bhi kuch nahi bataya.
Ye khabar sunte hi Hina fir se thoda chehak uthi thi. Use uske Abbu mil gaye they aur ab use ye nikaah bhi nahi karna pad raha tha. Uske liye toh sab kuch theek hi ho gaya tha, bas ab fir se college jaane ki baat chhedni thi.
Related Articles
Shaadi Ke Baad – 120
8 hours ago
Shaadi Ke Baad – 119
8 hours ago
Shaadi Ke Baad – 118
8 hours ago
Shaadi Ke Baad – 117
8 hours ago
Ghar mein bhale hi sab chup chap they, par Hina ke chehre par muskaan dekhkar sab logo ko thodi tassali hui thi. Isliye jab usne ek dopahar Naaz se milne ki zidd ki, toh Rubina ne mana nahi kiya.
Hina aur Naaz dopahar mein gaon ke bahar wale ped ke paas pahunchi. Sardi ab dheere dheere kam hone lagi thi, aur achhi dhoop nikli hui thi. Ped par chhoti chhoti beriyaan lag gayi thi. Dono ladkiyan patthar phenk phenk kar beriyaan toda rahi thi, haste chillate.
Achanak Naaz ki hasi ruk gayi. Hina ke peeche ki taraf dekhte hue uski chehre ki tyoriyan chadh gayi thi.
Hina – Kya hua?
Par Naaz ke jawab dene se pehle hi kisi ne peeche se uske pet par haath rakhte hue use apni taraf khainch liya. Hina ne jhatka diya par wo haath uske pet par aur kas gaya tha.
Hina ne jhatpatate hue peeche dekha toh Junaid ne use pakda hua tha.
Junaid – Kahan bhaag rahi hai tu… sochti hai itni aasani se chhoot jayegi?
Hina ne uska haath hatane ki behad koshish kari – Chhod mujhe… tu… ye kya kar raha hai…
Junaid ne use …