Shaadi Ke Baad

Shaadi Ke Baad – 83

Shaadi Ke Baad – Part 83 story update Subah se shaam dhal aayi thi aur na jaane kyu Supriya besabri se Iqbal ke lautne ka intezaar kar rahi thi. Pichle ek hafte mein uski zindagi mein itni halchal ho gayi thi ki woh saat din ek saal jaise lagne lage they. Lekin aaj ka. Shaadi ke zyadaatar mehmaan kal raat hi wapas chale gaye the. Rubina ki beti Zeenat bhi aaj apne ghar chali gayi thi. Ab toh bas ghar ke log hi reh gaye they. Update 81 Subah se shaam dhal aayi thi aur na jaane kyu Supriya besabri se Iqbal ke lautne ka intezaar kar rahi thi. Pichle ek hafte mein uski zindagi mein itni halchal ho gayi thi ki woh saat din ek saal jaise lagne lage they. Lekin aaj ka din thoda alag tha, bilkul shaant, bina kisi drama ya tension ke. Usse aisa lag raha tha jaise kitno dino baad aaj uski thakaan aur chinta ka bojh thoda sa kam hua ho. Shaadi ke zyadaatar mehmaan kal raat hi wapas chale gaye the. Rubina ki beti Zeenat bhi aaj apne ghar chali gayi thi. Ab toh bas ghar ke log hi reh gaye they. Subah se Rubina ne Supriya ko kisi kaam ke kareeb bhi nahi jaane diya. Hina ke paas bitha kar usne keh diya tha ki jab tak Supriya ke haathon ki mehndi ka rang feeka na ho jaaye, tab tak usse koi kaam nahi karwayegi. Ammi ji ko yeh baat shayad pasand nahi aayi, lekin Rubina ke saamne unki chalti kahan thi. Din bhar ghar mein reh kar Supriya ko kayi nayi baatein pata chali. Abbas ka ek karkhana tha jahan lakdi ka samaan banta tha. Wahan mazdoor bhi kaam karte the par Abbas khud bhi kafi kaam karta, aur ab Iqbal bhi uska haath bata raha tha. Kaafi mehnat ka kaam tha aur poore din ke baad achhi khaasi thakaan ho jaati thi. Shaam dhalte hi Abbas aur Iqbal wapas aa gaye. Supriya, sir dhake, Hina ke saath baithak mein baithi thi. Usne dekha Iqbal ke kapde dhool mitti se bhare hue the. Usne ek nazar Supriya ki taraf daali aur seedha upar apne kamre ki taraf chal diya. Tabhi Rubina rasoi se nikal kar boli – Jaa, upar chali jaa… dekh le use kuch chahiye toh nahi. Related Articles Shaadi Ke Baad – 120 11 hours ago Shaadi Ke Baad – 119 11 hours ago Shaadi Ke Baad – 118 11 hours ago Shaadi Ke Baad – 117 11 hours ago Supriya ko ajeeb laga, aisa sidhe Iqbal ke peeche jana thoda asahaj lag raha tha. Par woh Rubina ki baat ko taal bhi nahi paayi. Seediyaan chadh kar jab woh kamre ke bahar pahunchi toh dekha darwaza aadha khula tha. Woh seedha …

💬 కొత్త కథలు ,ఎపిసోడ్ అప్డేట్స్ కోసం ఏదైనా డౌట్స్ ఉంటె టెలిగ్రామ్ లో జాయిన్ అవ్వండి
📲 ఇప్పుడే మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి!

📢 కొత్త కథలు వెంటనే Telegramలో!
👉 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి 👈

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
📲 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి
Join Telegram Join our Telegram Channel

Adblock Detected

please remove ad blocker