Shaadi Ke Baad – Part 111 story update
Iqbal, Supriya aur Hina ko lekar hospital se bas nikla hi tha. Use pehle Supriya ki dawaiya leni thi, aur saath hi uska mann keh raha tha ki use ghar jaane se pehle hi Supriya ko Hina ke baare mein bata dena chahiye. Iqbal ne hospital ke paas hi ek chemist ki dukaan dekhte hue motorcycle wahan rok li.
Update 108
Iqbal, Supriya aur Hina ko lekar hospital se bas nikla hi tha. Use pehle Supriya ki dawaiya leni thi, aur saath hi uska mann keh raha tha ki use ghar jaane se pehle hi Supriya ko Hina ke baare mein bata dena chahiye.
Iqbal ne hospital ke paas hi ek chemist ki dukaan dekhte hue motorcycle wahan rok li.
Supriya ne use motorcycle rokte dekh poocha – Kya hua? Yahan kyu ruke hai?
Iqbal – Aapki dawai leni hai na…
Usne motorcycle ka stand lagaya aur neeche utra. Supriya aur Hina motorcycle ke paas hi khade they. Shaam andhere mein badal rahi thi, aur raat ki thand bhi badh rahi thi. Hina ne kas kar Supriya ka haath pakda hua tha, jaise woh use sambhal rahi ho, ya khud ko.
Dawai lete hue bhi Iqbal peeche Supriya ki aur dekh raha tha, sochte hue ki woh kya kahegi jab woh ye use batayega. Aur bhi toh kuch tha, jo chhipa hua tha.
Related Articles
Shaadi Ke Baad – 120
5 days ago
Shaadi Ke Baad – 119
5 days ago
Shaadi Ke Baad – 118
5 days ago
Shaadi Ke Baad – 117
5 days …