Kahani mein supriya dheere dheere kadam badati hui wapas Vikram ke paas jaa rahi thi. Uski nazrein jameen par thi, jaise jo kuch abhi hua, uska bojh sir ko neeche Vikram abhi bhi wahin khada tha, jahan Supriya use chhod kar gayi thi. Jaise hi Supriya paas aayi, usne bina kuch soche Vikram ke gale lag kar apne sh
Shaadi Ke Baad – Part 77 story update
Supriya dheere dheere kadam badati hui wapas Vikram ke paas jaa rahi thi. Uski nazrein jameen par thi, jaise jo kuch abhi hua, uska bojh sir ko neeche jhuka raha ho. Vikram abhi bhi wahin khada tha, jahan Supriya use chhod kar gayi thi. Jaise hi Supriya paas aayi, usne bina kuch soche Vikram ke gale lag kar apne shareer ka saara bojh us par chhod diya. Vikram bhi.
Update 75
Supriya dheere dheere kadam badati hui wapas Vikram ke paas jaa rahi thi. Uski nazrein jameen par thi, jaise jo kuch abhi hua, uska bojh sir ko neeche jhuka raha ho.
Vikram abhi bhi wahin khada tha, jahan Supriya use chhod kar gayi thi. Jaise hi Supriya paas aayi, usne bina kuch soche Vikram ke gale lag kar apne shareer ka saara bojh us par chhod diya. Vikram bhi kuch pal ke liye bhool gaya tha ki woh kahan khada hai aur usne bhi Supriya ko ache se apni baahon mein bhar liya.
Fir dono sambhalte hue ek doosre se alag hue. Vikram ne Supriya ke silky baalon ko uske chhehre se hataya aur uski aankhon mein kuch dhoodne laga. Kaash woh is samay kahin akele hote toh woh use jam kar choom leta.
Vikram ne Supriya ki aur dekha, uski aankhen halki si bhari hui – Ho gaya sab sahi se?
Supriya ne apni aankhen jhuka li, kuch kehna chahti thi par woh shabd uske muh se nahi nikal rahe they – Vikram woh….
Related Articles
Shaadi Ke Baad – 120
11 hours ago
Shaadi Ke Baad – 119
11 hours ago
Shaadi Ke Baad – 118
11 hours ago
Shaadi Ke Baad – 117
11 hours ago
Tabhi kisi aurat ki chubhti hui aawaz Supriya ke kaano mein padi – Aree… kya kar rahi hai tu…
Supriya ne jhatke se apni gardan ghumai, seediyon se ek jaani pechani boodi aurat neeche aati dikhi. Yeh wohi aurat thi jo use pehli baar isi jagah par mili thi. Supriya ne chhehre par ek tension ki lakeer ubhar aayi.
Aurat uske paas aate hue fir se boli – Ye kya kar rahi hai tu… kiske gale pad rahi hai…
Vikram ne puzzled ho kar Supriya ki aur dekha, jaise pooch raha ho ki ye kaun hai. Supriya ne Vikram ki aur dekh kar apne kandhe uchka diye.
Supriya dheere se boli – Mujhe handle karne do… koi nahi hai…
Aurat – Kya khusar phusar kar rahi hai, mere kaan ab itne tez nahi hai…
Supriya – Kuch nahi amma… aap kaisi hai…
Aurat – Chal is baar shukar hai tune mujhe pehchana toh… pichli baar to tu badi badtameez ho gayi thi… mall mein us aadmi ke saath mujhe pehchanne se bhi mana kar rahi thi…
Supriya – Haan, woh main apne pati ke saath thi…
Aurat – Woh tera pati tha?!! Toh ye kaun hai jiske gale lag rahi hai… ab ye mat kahiyo ki ab ye tera pati hai… tere toh pati itne badalte hai jitne logo ke kapde nahi badalte…
Supriya – Nahi… ye mere dost hai…
Aurat – Mard dost?!! Tauba tauba… aur tu unse aise chipat bhi jaati hai… apni jawani par thoda toh kaabu rakh… maana khuda ne tujhe khoobsurat banaya hai par iska matlab ye toh nahi ki har kisi ke gale lag jaye…
Supriya ko uski baatein kafi annoying si lagne lagi thi – Amma aap kya bole jaa rahi hain…
Aurat – Sun meri baat… ek baar ye jawani dhal jayegi na tab ye sab dost kisi kaam na aayenge…
Supriya thoda chhid kar boli – Hume chalna hai amma, aap apna khayal rakhna…
Aurat – Khayal to tu rakhiyo… aur agli baar kisi aur mard ke saath mat dikh jaiyo… tera toh woh sabse pehle wala hi mard sahi tha…
Vikram ko kuch samajh nahi aa raha tha ki ye aurat kya bol rahi thi. Supriya ne Vikram ko chalne ka ishaara kiya aur woh dono wahan se chal pade.
Vikram ne ek light tone mein pucha – Ye sab kya tha…
Supriya – Kuch nahi… ek pagal si aurat hai.. main ek baar Iqbal ke saath yahan aayi thi tab mujhse mili thi aur doosri baat Atul ke saath, aur ab teesri baar aapke saath… use lagta hai… khair jaane do..
Vikram haste hue – Hahaha… sach mein tumne toh use tension mein hi daal diya hai…
Supriya ne baat palatte hue kaha – Chhodiye na… ab ye bataiye aage ka kya plan hai?
Vikram – Hmmm… bas ab toh sab clear hai… Ab bas shaadi… ya Nikah… jo marzi keh lo… fir hum ek ho jayenge…
Supriya ye sun kar thoda sa sharma si gayi – Aur fir uske baad?
Vikram – Uske baad bas tum aur main aur London… aur ek nayi zindagi…
Supriya ye sun kar …