Kahani mein raat ka khana ho chuka tha aur Supriya aur Hina saath mein uske kamre mein bistar par baithe they. Din se lekar ab tak Supriya akele mein ek minute bh Hina ki khushmijaaz aawaz ne Supriya ka dhyan apni aur kheecha - Chachi aap yakin nahi karengi mujhe kitna acha lag raha hai aapke aane se... aap toh
Shaadi Ke Baad – Part 80 story update
Raat ka khana ho chuka tha aur Supriya aur Hina saath mein uske kamre mein bistar par baithe they. Din se lekar ab tak Supriya akele mein ek minute bhi Iqbal se baat nahi kar paayi thi. Iqbal ke bhai jaan toh bas apna farmaan suna. Hina ki khushmijaaz aawaz ne Supriya ka dhyan apni aur kheecha – Chachi aap yakin nahi karengi mujhe kitna acha lag raha hai aapke aane se… aap toh bas ab roz raat mere saath hi sona…
Update 78
Raat ka khana ho chuka tha aur Supriya aur Hina saath mein uske kamre mein bistar par baithe they. Din se lekar ab tak Supriya akele mein ek minute bhi Iqbal se baat nahi kar paayi thi. Iqbal ke bhai jaan toh bas apna farmaan suna kar wahan se chale gaye they, par usse jo toofan Supriya ke andar chal raha tha unhe iska zara bhi andaza nahi tha.
Hina ki khushmijaaz aawaz ne Supriya ka dhyan apni aur kheecha – Chachi aap yakin nahi karengi mujhe kitna acha lag raha hai aapke aane se… aap toh bas ab roz raat mere saath hi sona…
Abhi Supriya ko unke ghar aaye 24 ghante bhi nahi hue they aur ye ladki toh bas Supriya ki deewani si ho gayi thi.
Supriya – Hmmm… haan…
Hina – Aap hamesha hi itna kam bolte ho ya bas mere saath…
Supriya thoda sa muskurayi – Nahi bas tumhare saath…
Related Articles
Shaadi Ke Baad – 120
12 hours ago
Shaadi Ke Baad – 119
12 hours ago
Shaadi Ke Baad – 118
12 hours ago
Shaadi Ke Baad – 117
12 hours ago
Hina ka muh ban gaya par usne dekha ki Supriya ki muskurahat badti jaa rahi thi – Majak kar rahe ho na aap mere saath…
Supriya haste hue – Ha ha ha tum bahut pyaari ho… acha chalo ab so jaye agar tumhari baatein khatam ho gayi ho toh…
Hina – Jee chachi… aapki baat main kaise mana kar sakti hoon…
Hina khadi ho kar ek taala lekar apne kamre ke darwaze par lagane lagi. Supriya ko uska ye karna thoda ajeeb sa laga – Ye…. taala kyu laga rahi ho?
Hina ne kandhe uchkaye – Ammi kehti hai… ki mujhe taala laga kar sona chahiye… kabhi nahi laga hota toh woh bahut daanti hai mujhe… aap hi poochna na unse ki aisa kyu karwati hai mujhse…
Supriya – Haan theek hai… main poochungi unse…
Supriya gaur se dekhne lagi ki Hina taale ki chaabi kahan rakh rahi thi. Iqbal ne bola tha ki unhe aaj raat hi yahan se nikalna hoga. Aur aaj din mein jo hua uske baad toh uska bhi yehi mann tha. Jo hoga fir bahar dekha jayega.
Hina ne kamre ki batti band kari par bistar par aa kar let gayi. Supriya bhi uske theek barabar mein leti hui thi. Par neend abhi usse koso door thi. Maansik khayalo ke elawar Supriya ki tight kurti use chain se letne bhi kahan de rahi thi.
Kuch der baad Iqbal chhat se neeche dabe paanv aaya aur Hina ke kamre ki taraf badne laga, par tabhi usne wahan saamne apne bhai jaan Abbas ko khada dekha. Abbas Hina ke kamre ki khidki se andar jhaank raha tha.
Abbas ne bhi Iqbal ko aate dekh liya aur woh apne haath peeche baandh kar tehelne laga aur fir Iqbal ki aur dekhte hue bola – Iqbal… kahan so rahe ho tum aaj raat…
Iqbal – Bhai jaan woh… maine apna kamra khola tha par abhi yahan andar kafi dhool aur ghutan si ho rahi hai… toh socha yehi neeche so jayu…
Abbas – Haan… Ammi ke kamre mein so jayo tum… kal saaf kar lena apna kamra…
Iqbal – Aap yahan neeche… aap toh upar sote hai na…
Abbas aankhein churate hue bola – Haan woh Ammi se mashwara karne aaya tha ki kis kis ko nikaah mein bulana hai…
Iqbal dabi hui aawaz mein bola – Bhai jaan ek baat bolu… aap bura na manna…
Abbas uski ghabrayi hui shakal dekh kar aur bhi sakht sa ho gaya – Bolo… abhi bhi itna ghabrate ho…
Iqbal – Bas woh… khair… main keh raha tha ki ye nikaah ki kya jaroorat hai… bhabhi ne bataya hoga aapko…
Abbas – Dekho… main seedhi baat karta hoon… mujhe tum par bharosa nahi hai… ek toh pata nahi tum ise kahan se bhaga ke laaye ho… nikaah kiya bhi hai ya nahi… aur kiya bhi hai kis tarah se… fir gaanv mein hamari bhi kuch izzat bachi rahe ya nahi…
Iqbal apne andar thodi himmat laane ki koshish kar raha tha – Par bhai jaan… dubara nikaah karna bhi toh sahi nahi hoga…
Abbas Iqbal ko aankhein dikhate hue bola – Ab tum hame sikhayoge ki kya sahi hai aur kya galat…
Iqbal – Nahi bhai jaan… woh bas…
Abbas – Dekho… ye ladki yahan is ghar mein bina nikaah ke nahi reh sakti, ye haram hai… …