Kahani mein hina Supriya ko ghar ke andar le aayi thi aur Iqbal, Amma ji aur Rubina abhi bhi bahar ghar ke chauk mein khade behas kar rahe they. Supriya ko andar Hina ki chehak ti hui aawaz ne Supriya ka dhyan apni aur kheecha. Woh uske liye paani ka ek glaas lekar aayi - Ye lijiye chachi jaan... paani peejiye.
Shaadi Ke Baad – Part 79 story update
Hina Supriya ko ghar ke andar le aayi thi aur Iqbal, Amma ji aur Rubina abhi bhi bahar ghar ke chauk mein khade behas kar rahe they. Supriya ko andar baithe sab kuch saaf saaf toh nahi sunayi de raha tha par itna toh saaf tha ki w. Hina ki chehak ti hui aawaz ne Supriya ka dhyan apni aur kheecha. Woh uske liye paani ka ek glaas lekar aayi – Ye lijiye chachi jaan… paani peejiye…
Update 78
Hina Supriya ko ghar ke andar le aayi thi aur Iqbal, Amma ji aur Rubina abhi bhi bahar ghar ke chauk mein khade behas kar rahe they. Supriya ko andar baithe sab kuch saaf saaf toh nahi sunayi de raha tha par itna toh saaf tha ki woh dono hi kafi naraz they Iqbal par.
Hina ki chehakti hui aawaz ne Supriya ka dhyan apni aur kheecha. Woh uske liye paani ka ek glaas lekar aayi – Ye lijiye chachi jaan… paani peejiye…
Supriya ne ek dabi hui muskurat ke saath uske haath se paani ka glass liye. Steel ka glass pakadte hi use pata chala ki uske haath kitni buri tarah se kaanp rahe they.
Hina ka dhyan bhi uske haathon par gaya – Areee… aapke haath kyu kaanp rahe hai… paani jyada thanda hai kya?
Supriya ne Hina ki aur gaur se dekha, uske chhehre aur shareer ka rang behad hi gora tha. Uske foole foole gaal, aur pyaara sa chhehra, use bilkul apni yaad dila raha they jab woh uski umar ki thi.
Supriya ne hichakte hue kaha – Bahar woh log kya baat kar rahe honge…
Related Articles
Shaadi Ke Baad – 120
12 hours ago
Shaadi Ke Baad – 119
12 hours ago
Shaadi Ke Baad – 118
12 hours ago
Shaadi Ke Baad – 117
12 hours ago
Hina ne kandhe uchkate hue kaha – Pata nahi… main bahar gayi toh mujhe bohot daant padegi… par mujhe toh bas ye pata hai ki ab aap meri chachi hai…
Hina ne apni bahein Supriya ke kandho par lapet li. Agar Supriya Hina se kisi aur mahaul mein mili hoti toh woh shayad uski is cute si harkat par uske gaalon ko kheech leti. Par is samay uska mann bahut hi bechain sa ho raha tha. Supriya ne bhi uske haath par apna …