Shaadi Ke Baad

Shaadi Ke Baad – 70

Shaadi Ke Baad – Part 70 story update Raat ko khane ke baad, Supriya fir se Bhabhi ke kamre mein aa kar bed par unke barabar mein let gayi. Aarti use wahan dekh kar thodi hairaan hui – Kya hua? Tu yahan wapas kaise aa gayi aaj raat? Update 68 Raat ko khane ke baad, Supriya fir se Bhabhi ke kamre mein aa kar bed par unke barabar mein let gayi. Aarti use wahan dekh kar thodi hairaan hui – Kya hua? Tu yahan wapas kaise aa gayi aaj raat? Supriya – Mujhe yahan sona hai… wahan neend nahi aati… Aarti ne haste hue kaha – Matlab Atul ne tujhe poori raat jaga kar rakha… Supriya ne mann hi mann socha ki bhabhi toh kuch aur hi soch rahi hain, par woh unki galat fehmi ko door nahi karna chahti thi – Kal so toh soyi thi wahan… aaj yahan sone do na… Aarti – Kal soyi thi toh? Ye koi janamdin toh hai nahi ki saal mein ek baar manana hota hai… pati patni toh saath mein hi sote hai na… aur abhi toh tum logo ko shaadi ko time hi kitna hua hai, tum logo ko toh lagbhag roz hi woh sab karna chahiye… Related Articles Shaadi Ke Baad – 120 13 hours ago Shaadi Ke Baad – 119 13 hours ago Shaadi Ke Baad – 118 13 hours ago Shaadi Ke Baad – 117 13 hours ago Supriya – Roz!!??  Aarti – Aur kya… main apna time yaad karu toh hum log toh bas…. ab jaakar thoda kam hua ye sab… Supriya ne socha, roz toh woh tab bhi nahi karte they jab unki just nayi nayi shaadi hui thi. Kal raat ki embarrassment ke baad uska koi mood nahi tha Atul ke saath sone ka. Supriya – Main nahi jaa rahi wahan… main yahin comfortable hu… Aarti – Supriya tu apni zidd par kyu adi rehti hai… Atul kya sochenge tere baare mein?  Supriya ko thoda thoda gussa aana shuru ho gaya tha – Jo sochna hai soch le… mujhe farak nahi padta…  Aarti – Aise thodi na hota hai… Par Supriya apni chaddar taan kar aakhen band karke let gayi. Aarti ko samajh hi nahi aa raha tha yahan ho kya raha tha. Aaj subah toh use aisa laga tha ki saara maamla shayad woh jaldi hi suljha kar ghar wapis chali jayegi, par yahan toh shayad kuch aur hi chal raha tha. Aarti ne Supriya ko halke se hilate hue kaha – Supriya… mujhe bata na kya baat hai… sab theek toh ho gaya tha kal… Supriya – Bhabhi mujhe abhi bahut neend aa rahi hai… kal baat karte hai… Aarti – Theek hai… par kal tu office nahi jayegi… Supriya jaanti thi ki Bhabhi se behas karna bekar hai. Use subah bimar hone ka bahana hi karna padega. _________________________ Subah Atul ke office jaane ke turant baad, Supriya aur Aarti living room mein baith gaye aur Aarti ne fir se usse pooch taach shuru kar di. Supriya ka patience jawab deta jaa raha tha. Supriya – Bhabhi… aap jab se aaye ho, mere hi peeche pade ho… aapne ek baar bhi mujhse poocha ki …

💬 కొత్త కథలు ,ఎపిసోడ్ అప్డేట్స్ కోసం ఏదైనా డౌట్స్ ఉంటె టెలిగ్రామ్ లో జాయిన్ అవ్వండి
📲 ఇప్పుడే మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి!

📢 కొత్త కథలు వెంటనే Telegramలో!
👉 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి 👈

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
📲 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి
Join Telegram Join our Telegram Channel

Adblock Detected

please remove ad blocker