Shaadi Ke Baad

Shaadi Ke Baad – 56

Shaadi Ke Baad – Part 56 story update Ghar pahuch kar Supriya kafi der tak pareshan rahi. Pata nahi woh kya hi soch rahi thi jab usne Vikram ko raat ke is time ghar par aane ke liye bola tha. Woh apne aap ko samjhane mein lag gayi ki uska koi aisa waisa matlab nahi th. Par doosri taraf uski negative thoughts use feel karwa rahi thi ki jo usne kiya woh kafi jyada galat tha. Vikram sir ne hamesha uske saath bas acha hi kiya tha aur pata nahi woh uske baare mein kya so. Update 54 Ghar pahuch kar Supriya kafi der tak pareshan rahi. Pata nahi woh kya hi soch rahi thi jab usne Vikram ko raat ke is time ghar par aane ke liye bola tha. Woh apne aap ko samjhane mein lag gayi ki uska koi aisa waisa matlab nahi tha, woh toh bas Vikram sir use chhodne aaye they toh usne unko poochna sahi samjha. Uska bilkul bhi koi galat irada nahi tha. Par doosri taraf uski negative thoughts use feel karwa rahi thi ki jo usne kiya woh kafi jyada galat tha. Vikram sir ne hamesha uske saath bas acha hi kiya tha aur pata nahi woh uske baare mein kya soch rahe honge. Kya Vikram sir ke liye uske mann mein koi feelings paida honi shuru ho gayi thi. Rahul toh chalo unmarried tha aur shayad woh usse sach mein pyaar bhi karne lagi thi, waise kitni badi idiot this woh jo Rahul jaise insaan par bharosa kiya!! Par Vikram sir? Woh toh married they, aur umar mein bhi usse bade they, aur us par uske boss bhi they.  Shayad woh aaj unse kuch jyada hi comfortable ho gayi thi. Anniversary ke emotions, raat ka mahaul aur unke beech ki gayi baatein shayad is sab ki jimmedaar thi. Supriya ne socha ki woh Vikram sir ko message daal kar sorry bol de, par raat ke 1 baje they aur is time unhe message karna thoda weird hota. Kaafi der inhi sab feelings se jhoojhti hui woh aakhir sone ke liye let gayi. Agle din Sunday tha, aur shayad Atul kal ghar wapas aa jaye. Subah subah Supriya ki neend phone bajne se khuli. Supriya ne band aankhon mein haath idhar udhar maarte hue apna phone uthaya. Fir need mein phone uthathe hue bola – Hellloooo… kaun…. Doosri taraf se Iqbal ki aawaz aayi – Madamji… maaf karna maine aapko neend se toh nahi jaga diya… Related Articles Shaadi Ke Baad – 120 13 hours ago Shaadi Ke Baad – 119 13 hours ago Shaadi Ke Baad – 118 13 hours ago Shaadi Ke Baad – 117 13 hours ago Iqbal ki aawaz sunte hi Supriya ki neend ek dam se udd gayi – Nahi nahi… bolo Iqbal… kya time hua hai? Iqbal – 10 baj gaye madam ji, toh mujhe laga aap uth hi gaye honge… Supriya – Haan woh… hmmmm… bas leti hui thi? Kuch kaam tha kya aapko? Iqbal – Woh koi aapki gaadi dene aaya hai… Supriya – Oh acha…. Aap ek baar car ko parking mein laga kar chaabi apne paas rakh loge? Main thodi der mein aati hoon chhaabi lene.. Iqbal – Aap kyun aayenge, main aa jaata hoon dene… Kal raat jo hua uske baad Supriya itni sharminda thi ki kisi ko ghar par aane ke liye nahi bolna chahti thi. Aur waise bhi jo usne us din Iqbal aur Karuna ko karte dekha tha, tabse use Iqbal ke baare mein sochna hi thoda ajeeb sa lagta. Woh jaldi se …

💬 కొత్త కథలు ,ఎపిసోడ్ అప్డేట్స్ కోసం ఏదైనా డౌట్స్ ఉంటె టెలిగ్రామ్ లో జాయిన్ అవ్వండి
📲 ఇప్పుడే మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి!

📢 కొత్త కథలు వెంటనే Telegramలో!
👉 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి 👈

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
📲 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి
Join Telegram Join our Telegram Channel

Adblock Detected

please remove ad blocker