Shaadi Ke Baad

Shaadi Ke Baad – 94

Shaadi Ke Baad – Part 94 story update Supriya aur Iqbal bus mein baithe apne ghar ki aur wapis jaa rahe they. Supriya khidki ki taraf baithi thi, aur uske barabar mein Iqbal, usse bilkul sata hua. Supriya ka kandha aur pair Iqbal ke shareer se bilkul chipke hue se the. Supriya ke chhehre par ek halki si sharmili si muskaan thi, jaane kya chal raha tha uske mann mein, shayad Biji ki kahi baat. Wahan se nikalte hue unhone use bola tha ki agli baar jab woh usse milengi. Update 93 Supriya aur Iqbal bus mein baithe apne ghar ki aur wapis jaa rahe they. Supriya khidki ki taraf baithi thi, aur uske barabar mein Iqbal, usse bilkul sata hua. Supriya ka kandha aur pair Iqbal ke shareer se bilkul chipke hue se they, aur aaj toh Supriya Iqbal ko apne se door karne ke baare mein soch bhi nahi rahi thi. Supriya ke chhehre par ek halki si sharmili si muskaan thi, jaane kya chal raha tha uske mann mein, shayad Biji ki kahi baat. Wahan se nikalte hue unhone use bola tha ki agli baar jab woh usse milengi tab unhe yakin tha ki Supriya ki god mein ek baccha hoga, Iqbal aur uska baccha. Ye sunkar uske gaal sharam se buri tarah laal ho gaye they, aur ab fir se uske baare mein sochte hi Supriya ne apne dono haathon se kas ke aage ki seat ka handle jakad liya. Kal khet mein bhi usne kitni himmat dikha di thi, Iqbal ke gaalon ko choom kar. Pata nahi Iqbal ji uske baare mein kya soch rahe honge. Unhone toh apni taraf se ab tak uski aur koi bhi kadam nahi badaya tha. Pata nahi unke mann mein kya chal raha tha. Pata nahi ye sab kya hota jaa raha tha, aur woh is sab ke baare mein kyu soch rahi thi. Bahar se aati hui thandi hawa use pagal si kar rahi thi. Woh apne khayalo mein khoyi hi hui thi ki tabhi use mehsoos hua ki Iqbal uth kar khada ho gaya. Shayad unka gaanv aane hi wala tha. Supriya bhi uske peeche peeche khadi ho gayi aur jald hi woh dono bus se neeche utar gaye. Iqbal ne samaan uthaya aur woh dono ek rickshaw mein baith kar ghar ki aur chal diye. Ye wohi galiyaan thi jahan se Supriya kuch din pehle ruksat hui thi, par ab sab kuch alag alag sa lag raha tha. Jaise ye uska gaanv ho, ek jaani pehchaani jagah jahan woh apne ghar jaa rahi thi. Apne ghar… uska ghar… Related Articles Shaadi Ke Baad – 120 10 hours ago Shaadi Ke Baad – 119 10 hours ago Shaadi Ke Baad – 118 10 hours ago Shaadi Ke Baad – 117 10 hours ago Supriya ne rickshaw par baithe baithe apne dupatte se apna sir ache se dhaka. Hawa mein sardi aur bad gayi thi aur Supriya ne apne aap ko ache se dhakne ki koshish ki. Woh logo ko apna chhehra nahi dekhne dena chahti thi, mann hi mann woh shayad ab kisi ki amanat jo ban gayi thi.  Jaise …

💬 కొత్త కథలు ,ఎపిసోడ్ అప్డేట్స్ కోసం ఏదైనా డౌట్స్ ఉంటె టెలిగ్రామ్ లో జాయిన్ అవ్వండి
📲 ఇప్పుడే మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి!

📢 కొత్త కథలు వెంటనే Telegramలో!
👉 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి 👈

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
📲 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి
Join Telegram Join our Telegram Channel

Adblock Detected

please remove ad blocker