Kahani mein supriya apne kamre mein akeli baithi hui gehri soch mein thi. Uske haath mein wohi akhbaar ka parcha tha jo use ek hafte pehle Amroah ki halwai ki duk Gumshuda Talaash… Naam: Supriya Sharma, Rang: Gora, Umar - 26 varsh, Kad - 5’4 inch… Ye ladki 25 August se lucknow se lapata hai. Yadi kisi vyakti ko
Shaadi Ke Baad – Part 92 story update
Supriya apne kamre mein akeli baithi hui gehri soch mein thi. Uske haath mein wohi akhbaar ka parcha tha jo use ek hafte pehle Amroah ki halwai ki dukaan par mila tha. Supriya use ek baar fir khol kar padne lagi. Gumshuda Talaash… Naam: Supriya Sharma, Rang: Gora, Umar – 26 varsh, Kad – 5’4 inch… Ye ladki 25 August se lucknow se lapata hai. Yadi kisi vyakti ko iski jaankari mile toh neeche diye gaye number par.
Update 91
Supriya apne kamre mein akeli baithi hui gehri soch mein thi. Uske haath mein wohi akhbaar ka parcha tha jo use ek hafte pehle Amroah ki halwai ki dukaan par mila tha. Supriya use ek baar fir khol kar padne lagi.
Gumshuda Talaash… Naam: Supriya Sharma, Rang: Gora, Umar – 26 varsh, Kad – 5’4 inch… Ye ladki 25 August se lucknow se lapata hai. Yadi kisi vyakti ko iski jaankari mile toh neeche diye gaye number par soochit kare. Sampark kare – Atul Sharma.
Pichle ek hafte mein Supriya is ishtehaar ko chhori chhupe kayi baar pad chuki thi aur woh use uski purani jindagi ki taraf kheech raha tha.
Hina ke college admission ne jaane us par kaisa bhoot sawal kiya tha ki kuch palo ke liye woh sab kuch hi bhool gayi thi. Jaise sach mein Hina uski pyaari bhateeji ho aur woh uske liye dati padi thi.
Par woh gumshuda ishtihaar use fir se use haqeeqat se roobaroo kara raha tha. Aur waise bhi Hina ka admission toh ho gaya tha na. Uska khali dimaag fir se unhi sab khayalo ko wapis le aaya tha, aur woh poora din unhe chhipaye ghoom rahi thi.
Vikram… Atul… sab kuch.
Related Articles
Shaadi Ke Baad – 120
10 hours ago
Shaadi Ke Baad – 119
10 hours ago
Shaadi Ke Baad – 118
10 hours ago
Shaadi Ke Baad – 117
10 hours ago
Vikram ne baare mein soch kar kabhi toh woh use behad yaad karti aur kabhi apne aap ko kosti. Vikram ke dhoke ne use kahin ka nahi chhoda tha. Usne us insaan ke liye kya nahi kiya tha, aur ab woh yahan ek alag hi duniya mein pahuch gayi thi, jahan se wapas jaana namumkin sa lag raha tha.
Use kuch mauke toh mile they Vikram ke asli chhehre ko pehchanne ke liye, par woh us samay shayad uske pyaar mein itni andhi ho gayi thi ki woh unhe saaf saaf dekh bhi nahi paayi.
Aarti Bhabhi… Sahil sir… unhone use sahi salah toh di thi. Woh is sabke baare mein sochte hi aleke mein bilakh bilakh ke rone lagti.
Doosri aur Atul tha, jiske saath usne fere toh liye they, par un dono ke beech kabhi woh pyaar nahi hua jo use Vikram se mila tha. Par fir bhi woh dono pati patni toh they na, aur usne hi toh Atul ko dhoka hi toh diya tha.
Ye khayal mann mein aati hi uske andar ek ajeeb si halchal mach jaati. Ab jakar sochti toh yakin hi nahi hota tha ki woh un palo mein kya kya nahi kar gayi thi. Kis rekhaye laanghi thi usne jinka use pata bhi nahi tha. Uske mann mein ek tees uthti jo use kehti rehti ki kaash usne aisa kuch nahi kiya hota, aur bas apni pati ki hokar rehti.
Ab bas ek ye akhbar ka kagaz hi toh tha jo use uski purani jindagi se zod raha tha. Agar Atul ne ye gumshuda notice akhbaar mein daala tha toh iska matlab woh use dhoond hi raha tha. Ye kagaz milne se pehle toh usne yehi socha tha ki Atul ko ab tak uske baare mein sab pata chal gaya hoga aur woh usse nafrat karne laga hoga. Par shahad aisa na ho? Shayad usne use maaf kar diya ho aur sab uske liye pareshaan use dhoond rahe ho?
Supriya ko neeche se Iqbal ke aane ki aawaz aayi. Usne jaldi se kagaz ko almari mein apne kapdo ke beech chhupa diya. Aur apne aansu pochte hue neeche ki aur gayi.
Iqbal Hina ko college se wapas le aaya tha. Hina ko college se aate hi Supriya ko poore din ke kisse sunati, jisse Supriya ka thoda dhyaan bat jaata. Iqbal bhi din ka khaana kha kar wapis karkhane chala jaata.
Woh haath muh dho kar khaane ke liye baithi hi tha. Hina bhi uske saath hi baith gayi thi. Supriya upar se jaldi se rasoi mein ghusi aur khaana parosne lagi. Rubina abhi Ammi ji ke kamre mein usne baat kar rahi thi.
Supriya ne khaane ki plate Iqbal aur Hina ke aage rakhi. Iqbal ne Supriya ki aur dekha, jaise usse pooch raha ho ki usne khaana khaya ya nahi. Supriya ne Iqbal se aankhein nahi milayi. Ek hafte se unke beech baatcheet thodi kam hi thi.
Tabhi Rubina bahar aayi – Iqbal suno…
Iqbal – Jee Bhabhi…
Rubina – Phuphu ka phone aaya tha… unki bhateeji ki shaadi hai…
Iqbal – Acha… aap aur bhai jaan jaa rahe hai?
Rubina – Socha toh tha… par fir ek khayal ye bhi aaya ki tum aur Supriya wahan ho aayo… aaj kal thodi ukhdi ukhdi si lagti hai… uska mann behel jayega…
Supriya rasoi se kaan laga kar sab kuch sun rahi thi. Woh nahi jaana chahti thi Phuphu ya kisi aur ke yahan. Isi ghar mein rehna mushkil tha kya jo woh kahin aur ho aaye.
Iqbal bhi thoda pareshaan ho gaya tha – Bhabhi… aap log ho aayo na… waise bhi Supriya akele kaise wahan sambhalegi apne aap ko…
Rubina – Sab kar legi… itna toh maine use sikha hi diya hai… baaki kam hi bolna hai wahan… jyada kuch nahi…
Iqbal – Par uske khaane ki bhi dikkat hai …