Shaadi Ke Baad

Shaadi Ke Baad – 35

Shaadi Ke Baad – Part 35 story update Agle din office mein Supriya ka dimaag abhi bhi Pratap ke message par hi ghoome jaa raha tha. Aur ghoomta bhi kyu nahi… baat hi itni serious thi. Kitni mushkil se toh usne us vakye ko apne dimaag mein kahin dabaya tha. Aur ab woh. Pichli poori raat woh jaagte hue isi ke baare mein sochti rahi. Par usne jitna bhi soch liya, use is baat ka koi hal dikhayi nahi de raha tha. Pata nahi woh is chakkar mein kyu aur kaise fas gayi thi. Update 35 Agle din office mein Supriya ka dimaag abhi bhi Pratap ke message par hi ghoome jaa raha tha. Aur ghoomta bhi kyu nahi… baat hi itni serious thi. Kitni mushkil se toh usne us vakye ko apne dimaag mein kahin dabaya tha. Aur ab woh fir se usi darr aur depression ko aata hua mehsoos kar rahi thi. Pratap ke baare mein sochte hi uski poora shareer kaanp uthta tha. Woh fir se us tharki buddhe ko apne shareer ko haath nahi lagane dena chahti thi.  Pichli poori raat woh jaagte hue isi ke baare mein sochti rahi. Par usne jitna bhi soch liya, use is baat ka koi hal dikhayi nahi de raha tha. Pata nahi woh is chakkar mein kyu aur kaise fas gayi thi. Usne ye socha ki woh Atul ko jo bhi us shaadi mein hua tha uske baare mein bata de. Par fir use laga ki Atul shayad uski tab ki paristhithiyo ko na toh samajh payega aur na hi sweekar kar payega. Toh kya woh Renu se baat kare? Nahi, usi ne toh use is poore jhamele mein fasaya tha. Aur kaun tha jo uski madad kar sakta tha. Ek baar ke liye Iqbal ka naam bhi uske dimag mein aaya tha… par nahi woh toh bas ek watchman tha, aur kuch bhi nahi. Supriya isi uljhan mein khoyi hui apne office ke desk par baithi thi, ki Kriti ne use awaaz lagayi – Kahan khoyi hui ho aaj gorgeous… aur chehra bhi thoda bujha bujha sa lag raha hai.. Supriya ne ek banawati muskaan chehre par laate hue kaha – Haan woh thoda late soyi thi na kal raat ko… Kriti ne Supriya ko aankh maarte hue kaha – Oh ho… late night sleeping… sounds fun…. Pata nahi meri kismat mein ye romantic nights kab aayengi.. Supriya halke se haste hue – Koi romantic night wight nahi thi, bas aise hi neend nahi aa rahi thi… Aur waise bhi tumhare peeche toh ladko ki line lagi hogi… woh gym wali photo par hi dekhlo kitne saare aashiqo ke comments aaye hai… Related Articles Shaadi Ke Baad – 120 10 …

💬 కొత్త కథలు ,ఎపిసోడ్ అప్డేట్స్ కోసం ఏదైనా డౌట్స్ ఉంటె టెలిగ్రామ్ లో జాయిన్ అవ్వండి
📲 ఇప్పుడే మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి!

📢 కొత్త కథలు వెంటనే Telegramలో!
👉 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి 👈

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
📲 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి
Join Telegram Join our Telegram Channel

Adblock Detected

please remove ad blocker