Kahani mein agle din Atul ke office jaane ke baad Supriya ghar ka kaam karne ke baad baithi hi thi ki uske ghar ki doorbell baji. Usne dekha ki bahar Megha khadi Megha - Kya baat hai bhai, na koi call na message na tum aayi wapas aane ke baad. Aisi kya narazgi.
Shaadi Ke Baad – Part 19 story update
Agle din Atul ke office jaane ke baad Supriya ghar ka kaam karne ke baad baithi hi thi ki uske ghar ki doorbell baji. Usne dekha ki bahar Megha khadi thi. Woh use dekh kar bahut hi khush ho gayi. Woh ek insaan thi jise woh apne ma. Megha – Kya baat hai bhai, na koi call na message na tum aayi wapas aane ke baad. Aisi kya narazgi.
Update 19
Agle din Atul ke office jaane ke baad Supriya ghar ka kaam karne ke baad baithi hi thi ki uske ghar ki doorbell baji. Usne dekha ki bahar Megha khadi thi. Woh use dekh kar bahut hi khush ho gayi. Woh ek insaan thi jise woh apne mann ki baat bina kisi judgement ke bata sakti thi. Pichle kayi dino se uske mann mein kayi baatein chal rahi thi aur ab Atul ne ye Rahul ke roleplay naam ki musibat alag khadi kar di thi.
Megha – Kya baat hai bhai, na koi call na message na tum aayi wapas aane ke baad. Aisi kya narazgi.
Supriya – Aree Megha, kya batayu yaar, itna kuch chal raha tha na. Par sach mein main aapko hi yaad kar rahi thi 1-2 dino se.
Megha – Barabar mein toh rehti hu. Jab ji chahe ghanti baja deti. Ya tumhare pati ne finally tumhe convince kar diya ki main badchallan hu.
Supriya ne apne kaan pakde aur bola – Sorryyyyy! Sach mein.
Megha haste hue ghar ke andar aa gayi aur woh dono baaton mein lag gaye. Supriya ne waise toh use sab kuch bata rakha tha siwaye kuch cheezo ke. Abhi woh Dhruv wali kahani chhedne ke mood mein nahi thi. Waise bhi uske liye woh chapter ab close ho chuka tha. Ab toh ye nayi samasya khadi ho gayi thi. Supriya ne Megha ko sab kuch bataya.
Related Articles
Shaadi Ke Baad – 120
10 hours ago
Shaadi Ke Baad – 119
10 hours ago
Shaadi Ke Baad – 118
10 hours ago
Shaadi Ke Baad – 117
10 hours ago
Supriya – Toh ab aap hi batayo, main kya karu. Atul toh jaise peeche hi pad gaya tha aur mujhe use khush karne ke liye haan karni …