Shaadi Ke Baad

Shaadi Ke Baad – 18

Shaadi Ke Baad – Part 18 story update (Ye update Atul ke perspective se shuru hota hai). Jab Atul bazaar se wapas aaya toh woh apne kamre ki aur upar gaya. Woh Supriya ko shopping ka samaan dikhane ke liye excited tha, usne 1-2 cheeze khaas Supriya ke liye li thi. Woh seediyon se upar hi. Update 18 (Ye update Atul ke perspective se shuru hota hai) Jab Atul bazaar se wapas aaya toh woh apne kamre ki aur upar gaya. Woh Supriya ko shopping ka samaan dikhane ke liye excited tha, usne 1-2 cheeze khaas Supriya ke liye li thi. Woh seediyon se upar hi aa raha tha ki usne Dhruv ko uske kamre se nikalte dekha. Pehle uske mann mein sawal aaya ki aakhir Dhruv uske kamre mein kyu gaya tha. Par usne fir socha ki aakhir Dhruv aur Supriya ki aapas mein kafi banti thi toh isme koi badi baat toh nahi. Poori shaam uski nazar Supriya aur Dhruv par hi thi, aur usne dekha ki dono kafi khiche khiche se they, jo ki unka normal vyavhar nahi tha. Uske mann mein kuch toh khatak raha tha. Raat ko woh Supriya ke upar aane se pehle uska phone check karne laga. Un dono ko ek doosre ke phone ka code pata tha, aakhir chhupane ke liye tha bhi kya. Atul ne isse pehle kabhi Supriya ke messages nahi check kiye they. Use Supriya par poora bharosa jo tha. Woh apne aap ko bahut khushkismat samajhta ki use Supriya jaisi khoobsoorat biwi mili thi. Aur swabhav mein bhi Supriya bahut hi pyaari aur seedhi thi. Kabhi kabhi use lagta tha ki shayad Supriya ko usse jyada smart ladka mil sakta tha par sochta ki agar waise hota toh fir woh use na mil paati. Supriya ke messages mein upar hi Dhruv ko last bheja hua message tha – Agar free ho toh 5 min ke liye yahan aa jayo. Aakhir …

💬 కొత్త కథలు ,ఎపిసోడ్ అప్డేట్స్ కోసం ఏదైనా డౌట్స్ ఉంటె టెలిగ్రామ్ లో జాయిన్ అవ్వండి
📲 ఇప్పుడే మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి!

📢 కొత్త కథలు వెంటనే Telegramలో!
👉 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి 👈

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
📲 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి
Join Telegram Join our Telegram Channel

Adblock Detected

please remove ad blocker