Shaadi Ke Baad

Shaadi Ke Baad – 107

Shaadi Ke Baad – Part 107 story update Junaid aur uske gharwalo ke jaane ke baad poore ghar mein hangama sa ho rakha tha. Hina foot-foot kar rote hue Rubina se lipti hui thi, aur Abbas gusse mein tez aawaz mein chilla raha tha. Supriya muh latkaye Rubina ke paas hi kha. Hina apni roti hui aawaz mein, sar hilate hue cheekh padi – Main nahi karungi usse shaadi… main nahi chhodungi apni padai! Update 104 Junaid aur uske gharwalo ke jaane ke baad poore ghar mein hangama sa ho rakha tha. Hina foot-foot kar rote hue Rubina se lipti hui thi, aur Abbas gusse mein tez aawaz mein chilla raha tha. Supriya muh latkaye Rubina ke paas hi khadi thi, aur Iqbal chhup chaap charpai par baitha tha. Pichle do ghanto se chal rahi behas ne sabko buri tarah se thaka diya tha, par baat khatam hone ka naam nahi le rahi thi. Hina apni roti hui aawaz mein, sar hilate hue cheekh padi – Main nahi karungi usse shaadi… main nahi chhodungi apni padai! Pata nahi ye baat woh ab tak kitni baar dohra chuki thi. Par is baar uski aawaz badli hui si thi, jaise itni der ki behas ke baad aur bhi buland ho gayi ho. Abbas bhi aur jyada bhadak utha – Shaadi toh ho kar rahegi! Kal se ye college wollege jaana sab band!! Main dekhta hoon kaisi jaati hai ye college… saari kitaabe faad dunga! Hina bhi poori baghawat par utar aayi – Main dekhti hu kaise rokte ho aap mujhe… main ghar se bhaag jayungi! Yeh sunte hi Abbas gusse mein uski taraf lapka, shayad use maarne ke liye. Hina darr ke maare jaldi se Rubina aur Supriya ke peeche chhup gayi. Uski sisakti hui cheekhein poore ghar mein goonj rahi thi. Related Articles Shaadi Ke Baad – 120 10 hours ago Shaadi Ke Baad – 119 10 hours ago Shaadi Ke Baad – 118 10 hours …

💬 కొత్త కథలు ,ఎపిసోడ్ అప్డేట్స్ కోసం ఏదైనా డౌట్స్ ఉంటె టెలిగ్రామ్ లో జాయిన్ అవ్వండి
📲 ఇప్పుడే మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి!

📢 కొత్త కథలు వెంటనే Telegramలో!
👉 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి 👈

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button
📲 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి
Join Telegram Join our Telegram Channel

Adblock Detected

please remove ad blocker