Ghar Ka Sikandar

Ghar Ka Sikandar – 138

storyhindi - 138

Update-146 waqt beethne kai saath saath Ek taraf kabita aur sunidhi ka plan aage badhta ja raha tha toh Dushri taraf akash ki tabiyat me sudhar aata chala ja raha tha,aur wo dherre dherre normal hota ja raha tha, aur ise dauran kabita aur sunidhi mil kar akash ko Sruti aur Kamla ki mout kai baare mein bhi bata dete hai , jisko sunn kar akash tooth sa jata hai, usko kahi na kahi Sruti kai mout ka bhale he pata tha lakin wo poore tarha sai conform nahi tha jo wo tab huya tha Sruti ki mout ki khabar sunn kar akash kai aankho mein aansu aajata hain,wo waha santh pada raheta hai aur wo aakhiri lamho ko yaad karne lagg jata hai jo lamhe usne Sruti kai saath bitaye the , uske wo hasi mazak kai baate aur harkate usko sab yaad aajata hai aurr uske kahe huye aakhiri baath usko yaad aane lagg jati hai . aur phir kamla ki mut ki khabar jiska ise mamle mein kuch lena dena bhi nahi tha uski bemout mare jane sai akash andar he andar aur bhi ghussa hone lagg jata hai aur apne bed sai uuth kar bahar jane ki koshish karne lagg jata hai tab usko kabita aur sunidhi rok dete hai aur usko samajhne ki koshish karte huye akash ko samjane mein lagg jate hai use waqt kabita aur sunidhi akash ka ghussa saaf saaf dekh pate hai. Akash tab thik sai khada bhi nahi ho pa raha tha lakin uswaqt wo ghusse sai apne pairo me khada hone ki koshish karta he hai aur bas girne he wala tha ki usko kabita aur sunidhi pakad lete hai , wo dono akash ko baar baar sant hone ki liyea bolte he ja rahe the lakin akash unke baath sunn he nahi raha tha , aur tabhi waha Savnam bhi aajati hai aur apne bhai ko rokne lagg jati hai , tab akash savnam ki masumiyat sai bharri aankho aur sakl ko dekh kar thoda santh hota he hai ki doctor usko neend ka injection dene mein bilkul bhi deri nahi karta , jisse akash ko neendh aane lagg jati hai aurr kuch ise tarha sab akash ko sant kar he dete hai . use waqt akash ko ise tarha sai ghusse mein dekh karr Kabita aur sunidhi apne plan ko tezi sai aage badhana he bahetar samajhte hai aur ise baare mein dhirendra sai bhi baath karne me lagg jate hai jo ki Anjali sai koi nita rista nahi rakhna chahata tha jiske wajay sai wo sahiyog nahi karr pa raha tha. Kuch din baadh– Mohanlal-hume ek aurat ko taqat sai hatane kai liyea ek aurrat ka sahara lene ki naubat nahi aaye hai Anjali ji, aap Pratab ji ki bahu hein ise liyea hum aapsai milne ki liyea raji huye hai , aur har koi janta hai ki zamindaar ki aane par taqat phir unke haath he jane wala hai Anjali-aagar zamindaar mar gaya toh? us kabita ko panchayat ka sadashaya banane kai liyea ready hai aap, oh mein toh bhul gaye, wo toh khud ek panchayat bann baithe hai , sadashya toh aapko khud banna hai Singh-Anjali ji , hume bhadkane ki koshish na kijiiye, hume aapkai niyat kai baare mein bhali bhati pata hai ji Anjali-aur hume aap logo kai, tum sab taqat me aane kai liyea kuch bhi kar sakte ho ,tum log darpok ho ise liyea us zamindaar ko ladne kai liyea utar dia, taki tum logo ko kuch karna na pade . lakin ab kuch nahi karoge toh wo aurat tumsai tumlogo ki taqat cheen legi, kal ki liyea kuch bachega he nahi, bas aayse he soochte rahe jaoge, mujhe taqat nahi chahiyea lakin kisi aur ko bhi toh nahi dekh sakti au kabita ko toh bilkul bhi nahi ,dekh lo mein toh aap logo ki bhalai ki liye he bol rahe hu, waise mein janti hu ki mein panchayat ka hissa nahi bann sakti aur sach bola jaye toh mein kamsai kam aap pancho se madat mangne aaye toh hu , wo zamindaaran toh aaplogo ko ise layak bhi nahi samajhti ,wo khud ko aaplogo se badi samajhti hai Related Articles Ghar Ka Sikandar – 144 2 seconds ago Ghar Ka Sikandar – 143 5 seconds ago Ghar Ka Sikandar – 142 7 seconds ago Ghar Ka Sikandar – 141 10 seconds …

💬 కొత్త కథలు ,ఎపిసోడ్ అప్డేట్స్ కోసం ఏదైనా డౌట్స్ ఉంటె టెలిగ్రామ్ లో జాయిన్ అవ్వండి
📲 ఇప్పుడే మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి!

📢 కొత్త కథలు వెంటనే Telegramలో!
👉 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి 👈

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

.
Back to top button
📲 మా Telegram ఛానల్‌లో చేరండి
Join Telegram Join our Telegram Channel

Adblock Detected

please remove ad blocker