Kahani mein subah hote hi Supriya ke chehre par ek muskurahat si thi aur badan mein furti. Kal raat jaise uske mann ke saare sawalon ka jawab mil gaya tha. Use ab Iqbal bhi aaj pehle se thoda khush lag raha tha, aur ghar ka poora mahaul hi badla hua sa tha. Aaj itne dino baad kisi ke mann mein koi tension nahi t
Shaadi Ke Baad – Part 115 story update
Subah hote hi Supriya ke chehre par ek muskurahat si thi aur badan mein furti. Kal raat jaise uske mann ke saare sawalon ka jawab mil gaya tha. Use ab pata tha ki woh is ghar mein kuch dino ki mehmaan nahi, balki shayad is ghar ki. Iqbal bhi aaj pehle se thoda khush lag raha tha, aur ghar ka poora mahaul hi badla hua sa tha. Aaj itne dino baad kisi ke mann mein koi tension nahi thi. Jindagi shayad abhi bhi mushkil hone wali thi.
Update 112
Subah hote hi Supriya ke chehre par ek muskurahat si thi aur badan mein furti. Kal raat jaise uske mann ke saare sawalon ka jawab mil gaya tha. Use ab pata tha ki woh is ghar mein kuch dino ki mehmaan nahi, balki shayad is ghar ki sabse majboot kadi thi.
Iqbal bhi aaj pehle se thoda khush lag raha tha, aur ghar ka poora mahaul hi badla hua sa tha. Aaj itne dino baad kisi ke mann mein koi tension nahi thi. Jindagi shayad abhi bhi mushkil hone wali thi, par ek pyaari si asha thi sab theek hone ki.
Chai naashta karne ke baad Iqbal gehno ko ek bag mein acche se chhupa kar apne saath le gaya. Aaj toh woh ghar wapas auto khareed kar hi aane wala tha.
Supriya uske jaate hi ghar ke kaam nipta kar akhbaar mein nikle naukri ke ishtehaaro ko padne lagi. Kafi jagah junior accountant ya office type ki jobs nikli hui thi, aisi jobs jo woh kafi aaram se kar sakti thi. Par use mann hi mann pata tha ki Iqbal job ka sunte hi bura maan jayega. Woh toh bas use is chaar diwari mein rakh kar poori duniya se mehfooz rakhna chahta tha.
Supriya ne gehri saans li. Par jindagi aise toh nahi chalti na. Woh koshish karegi Iqbal ko manane ki.
Hina ghar mein rakhe ek purane se TV par koi film dekh rahi thi. Gaanv mein un logo ke paas TV nahi tha, toh yahan TV par sab kuch hi dekhna naya sa tha. Woh ghanto ghanto TV ke aage baithi rehti thi. Kisi film ka gaana chal raha tha aur Hina ke haath aur pair khud hi chal rahe they, uski aankhen screen par jami hui thi. Supriya use dekh kar muskurayi, kitni befiqr thi ye ladki.
Related Articles
Shaadi Ke Baad – 120
8 hours ago
Shaadi Ke Baad – 119
8 hours ago
Shaadi Ke Baad – 118
8 hours ago
Shaadi Ke Baad – 117
8 hours ago
Shaam hote hote Supriya besabri se Iqbal ke wapas aane ka intezaar kar rahi thi. Bas yehi soch rahi thi ki sab kuch achhe se ho gaya ho. Yahan shehar mein bahut …