Kahani mein agle din Sunday ki subah Surpiya 5.30 baje uth gayi thi. Pichli shaam ko usne Atul ko bataya tha ki woh aur Megha subah jogging karne neeche jayenge, Supriya ne apna chehra dho ka neend bhagayi. Aaj toh jaise usmein josh bhara pada ho is naye kaam ko shuru karne ke liye. Uske saath hamesha aisa hota
Shaadi Ke Baad – Part 34 story update
Agle din Sunday ki subah Surpiya 5.30 baje uth gayi thi. Pichli shaam ko usne Atul ko bataya tha ki woh aur Megha subah jogging karne neeche jayenge, agar Atul ko chalna hai toh woh bhi chal sakta hai. Supriya ko achi tarah pata t. Supriya ne apna chehra dho ka neend bhagayi. Aaj toh jaise usmein josh bhara pada ho is naye kaam ko shuru karne ke liye. Uske saath hamesha aisa hota tha ki naye kaam ke liye woh subah time se pehle.
Update 34
Agle din Sunday ki subah Surpiya 5.30 baje uth gayi thi. Pichli shaam ko usne Atul ko bataya tha ki woh aur Megha subah jogging karne neeche jayenge, agar Atul ko chalna hai toh woh bhi chal sakta hai. Supriya ko achi tarah pata tha ki itni subah Atul bistar se nahi nikalne wale they aur Megha ka naam sunkar toh bilkul bhi nahi. Supriya ne ek dheeli si tshirt and leggings pehni aur joote pehen liye. Uske ye running shoes usne Atul se jidd karke kharidwaye they, ye bol kar ki woh inhe pehen kar jogging karne jayegi. Par shayad mushkil se koi ek din jab usne inhe pehna hoga.
Supriya ne apna chehra dho ka neend bhagayi. Aaj toh jaise usmein josh bhara pada ho is naye kaam ko shuru karne ke liye. Uske saath hamesha aisa hota tha ki naye kaam ke liye woh subah time se pehle uth jaati thi. Uska mann tha ki woh chai pee le, par itni subah subah woh jyada khatar patar nahi karna chahti thi. Woh balcony se bahar dekhne lagi, mausam abhi thoda thanda sa hi tha. Suraj nikalna shuru ho raha tha, toh kaafi andhera sa tha. Shayad 15 minute baad thoda ujala ho jaye.
5.55 ke aas paas Supriya ne apna phone liya aur lift se neeche aa gayi. Building ke theek saamne Iqbal ne ek safed rang ki gaadi khadi kari hui thi. Gaadi thodi purani si thi, par Supriya ko isse kya matlab, use toh bas gadi chalana seekhna tha. Iqbal saamne gaadi par tek laga kar khada tha. Supriya muskurate hue uski aur chal padi.
Supriya ko aate dekh Iqbal ka chehra bhi khil utha – Madamji aap toh ek dam time se aa gaye… main soch raha tha ki kahin aap nahi jage toh….
Supriya – Kaise nahi aati… time diya na maine aapko…
Iqbal – Sach mein… aap juban ke pakke ho…
Related …