This story is part of the Swapping Ki Ek Hasin Raat series
Ab tak aapne padha ki Zubin aur Kiara ne aapas mein hi apni suhaagraat mana li aur raat bhar ek saath so gaye.
Ab aage…
Subah 7 baje room ke darwaje par dastak huyi to Zubin aur Kiara hadbada kar uthh gaye. Kiara ne jaakar darwaja khola to dekha ki Kabir tha. Zubin Kiara ke peechhe hi khada tha.
Kabir: “Zubin tumhaare saath hi hain, main usi ko dhoond raha tha! Baahar aa jao, baaki saare friends baithhe hain yahi”
Kiara ne Kabir ke peechhe dekha to baaki ke log bhi the Rashi, Rohan, Urvi, Ujjawal aur Zara. Kal raat jaha baithh kar baatein kar rahe the wahi sab baithhe the. Kiara, Zubin aur Kabir bhi baaki logo ke paas aakar baith gaye.
Kiara: “Tum sab kaha rah gaye the raat bhar. Mujhe to bahut tej neend aa rahi thi aur yaha aur koi room bhi nahi pata tha isliye phir Zubin ko mere kamre mein hi le liya. Yeh bechara raat bhar side mein sofe par soya”
Zubin dekhta hi rah gaya ki kis safayi se Kiara ne jhooth bola tha. Sabhi log neend se uthhkar aaye ho aesa lag raha tha. Tabhi chai coffee aa gayi aur wo log peene lage.
Kabir: “Sorry Zubin and Kiara. Main aur …