Saturday wale din Abbu ne Ammi aur Abrar bhai ko apne sath liya gaon nikal gaye yani apne asal gaon…excitement kafi thi aur ammi ne Abrar bhai se pehle he baat kar rakhi thi to abbu ne he plan bnaya hoa tha k Saturday ko jaye ge aur apni New Sedan car me teeno gaon ki or rawa dawa thay…ammi aur Abrar bhai peeche bethe hoay aur abbu drive kar rahe thay…dopehr k 11 baje ka time tha jab abbu apne gaon ki hadood me enter hoay aur unki b Aankhon me chamk thi,itne saalo baad wo apne ghar ja rahe thay…ab aaghe Dadi logo ko koi idea nahi tha k abbu aane wale hai aur na he Ismail Chacha ko khabr thi…ammi khud pehli bari aa rahi thi apne susral to abbu unhe sara kuch btate aur dikhate aa rahe thay k yahan se humari zameenein waghaira shuru hoti yahan b humara ek dhera hota tha…ammi k sath sath abrar bhai b kafi excited thay…junhi apni kothi k bare se gate k samne car rok horn diya to ek nokar ne darwaza khol bahar dekha aur gari k sheeshay me se abbu ko pehchan liya aur sath wali dosri nokrani ko bari khushi k sath cheekhte hoay bola bare sahab aa gaye…itna sunna tha k wo nokrani bhagti hoi andar bhagi aur yahi shor dal diya k bare malak aa gaye…dadi k sath sath Phupho aur chachi jo apne kamo me busy thi ek dam se jab ye suna to andar se bahar aayi aur dadi ne apna dopatta waghaira sar pe le bahar nikal nokrani ko bolte suna to pocha Mera Ibrahim aaya hai to nokrani ne haan me sar hilaya to Dadi b tez qadmon sath bahar aayi aur samne main gate khul chuka tha aur gari andar aa rahi thi aur main hall k samne ruki aur abbu utre pehle to dadi ki Aankhon me aansu aa gaye khushi k aur abbu ko galay laga unkay matha chooma unkay hath choomay…phir Ismail chacha ne abbu ko galay lgaya aur sath he Phupho Haleema ne b…kafi der udhar he sabhi ki Aankhon me nami rahi, specially abbu aur dadi k…abbu ne ammi ka b taraf karwaya k Aap ki bahu hai Nasreen aur ammi ko dekh Dadi to dekhti reh gayi aur kafi tareef kar ammi ko b galay lga liya aur matha chooma…sath Abrar bhai ki traf ishara kar kaha k ye bara beta hai humara Abrar to dadi ki Aankhon me chamk bar gayi aur phir abrar bhai ko b galay laga pyar diya…sare nokar chakar b ikathay ho chuke thay aur dadi ne hukm diya k pore gaon me mithayi baaton mera beta aaj aaya hai…uskay …