Nana logo k paas wale jurwa gaon me:
Idhar gaon me Suraiya bibi do hafte pehle Mahrukh apni beti k susral se ho aayi thi wahan Waqas
logo ko b moqa nahi mil paya tha aur wapis aa gaye thay, idhar waqas ne kisi mashwara le apna
aur Suraiya begum k baal ka sample shehr kisi aadmi ko diya tha sath raqam b achi khasi di thi k
private tor par DNA test kiya jaye aur iss beech wakeel k through proper channel k through chalte
hoay waqas k baap k naam jitni jayedaad zameen thi aur jo uske chacha ne qabzay me le rakhi
thi wo sab waqas k naam par transfer ho gayi aur sath he court ki traf se order aaya jo saanjhi jayedad yani waqas k abbu aur chacha k naam par mutual ek plot tha gaon k bahar road par uska rate lagwaya gya aur phir uske chacha ko option diya gya k wo agar Waqas ka hissa rakhna
chahta plot me to usay paise jo qeemat lagi wo dena hogi aur wo agree b ho gya aur uss ne
check likh kar de diya 21 lakh ka waqas k naam par aur waqas ne wo check sanbhal kar rakh liya
aur phir kuch dino baad mid tha wo dakiya ek parcel le kar aaya tha waqas k naam ka aur waqas
kahin gya tha to mohallay walo ne btaya wo Suraiya bibi k haan rehta to dakiya ne wo parcel
Suraiya bibi ko thamaya jo kapre seenay me lagi thi subah k 11 baje aur parcel le uss ne khol kar
dekha kisi private laboratory ka address tha uss ne kholna chaha tabhi waqas ki call aa gayi k
kholna na ammi main aa raha aur wo 10 minutes me ghar aa gya bike par kyu k awais log to
college thay, phir sehan wali charpayi par beth maa apni sath wo parcel khola uss ne se lifafa
nikala aur ek page tha bara sa jis par DNA report thi English me to Suraiya bibi ne parhi to sath he
khushi se nami aa gayi aankhon me aur same waqas ka b haal tha such me waqas Suraiya bibi ki
kokh se nikla tha ye baat aaj scientifically prove ho gayi thi aur dono maa beta galay lag ro rahe
thay khushi se phir Suraiya ne chup karaya waqas ko aur bola iski kya zarorat thi putar to waqas
ne kaha bas mera dil kiya ammi main koi shak nahi rkahna chah raha tha sorry agar bura laga ho
to maa ne kaha nahi putar aisi baat nahi…phir dono ne ek dosre k chehre saaf kiye aur tabhi
farkhanda bibi apne sath ek aurat le aan tapkti, Suraiya ne waqas ko wo kagaz andar rakhne ka
ishara kiya aur phir waqas b bahar chala gya bike par…agle din subah sare 8 ka time tha chot
dono bache college ja chuke thay aur waqas aur awais naha kae ready ho rahe thay Suraiya
begum already naha kar ready thi bas dono ladlo ki kameezon k button aur shalwaro me naray
sahi karne me lagi thi phir kangi b khud he ki dono ki pyar se aur perfume b lgaya, dono bhai
safed shalwar kameez me thay neeche sandles thay, maa ne kala burqa pehna hoa tha sath
neeche sandles brown pehne thay aur phir purse waghaira pakra aur kagazat wali mportant file
pakri aur tala laga main door ko waqas ki choti bike par kisi trah beth chal diye shehr ki
traf…aadhe pone ghante baad shehr k bare se bank k samne bike roki parki ki aur teeno maa
bete andar gaye aur seedhe bank manager k cabin me ja bethe jahan manager already majood
tha usay Waqas ne check apna diya kaha k ye new account open kar uss me dalna hai magar
meri age just *4 (chod*) sal hai to manager ne kaha ho jaye ga but is k liye Aap k parents ka co-
signatury hona lazmi hai to Suraiya bibi ka ID card niklwa kar bag se wo diya k ye meri walda hai
aur Suraiya bibi ye sun ek tak bas dekhti reh gayi waqas ko aur manager ne kaha theek hai but
Aap ka national ID card no hai koi? To waqas ne jhoot bola k nahi bnaya aur manager ne zyada
kuch nahi pocha aur account open karwa dono k fingerprints le kar account chalu b kar diya sath
he kaha ATM card aap ko kuch dino me mil jaye ga abhi Aap raqam kuch niklwana chahte to
waqas ne 6 lakh kaha aur unho ne nikal kar de di…qareeb aadhe …