Ahmed college se ghar aaya to dekha uski ammi ke hantho mei ek letter tha. Jisse apne hatho me pakde wo bahut roh rahi thi. Ahmed unke pass gaya…
Ahmed : kya hua ammi? Tum ro kyu rahi ho??
Lekin wo bas ek roye hi ja rahi thi. Ahmed kitchen me gaya aur ek glass pani la kar ammi ke hatho se letter lekar glass pakda diya…
Ahmed : tum pehle paani piyo aur rona band karo.
Pani ka glass hanth me lekar unka peene ka mann nahi tha par pani pi hi liya. Ye dekh ahemd ne letter ko padhna shuru kiya…
“behan Fatima, tumhe ye sunkar bada dukh hoga ki hamare abbu ka intekaal ho gaya ha. Aage kuch jada nahi likh pahunga bas tum jaldi aa jao.”
Letter padh Ahmed ne foron abbu ko phone lagaya aur saari baat …