This story is part of the Bhaiya Ya Saiyaan series
Yeh kahaani ek sachchi ghatna par aadhaarit hain. Is kahaani me thode badlaav kiye gaye hain taaki is platform ke readers ke hisaab se dhaala ja sake.
Yeh kahaani hain 23 saal ke ladke Vihaan ki. Vihaan pichhle 3 saal se ek ladki Kiara ko date kar raha tha. Ek din achanak se Kiara ne Vihaan ka phone uthhana band kar diya aur messages ka bhi reply nahi kiya.
Vihaan try karta raha. 2-3 baar uske ghar par bhi gaya par maid ne bola ki abhi Kiara ghar par nahi hain. Vihaan ko daal me kaala najar aaya.
Uska shak sahi saabit hua ki Kiara usko ignore kar rahi thi. 1-week ke baad Kiara ne Vihaan ko break-up karne ka message bhej diya. Saath hi likh diya ki wo use ab contact karne ki koshish na kare.
Kiara ne dhamki di ki agar Vihaan ne Kiara se milne ya ghar aane ki koshhish ki to wo police me shikayat kar degi. Vihaan shocked rah gaya. Aakhir aesa kya hua ki usk girlfriend ne bina mile hi break up kar liya.
Vihaan pareshaan ho gaya. Lunch bhi nahi kiya aur dinner bhi skip kar diya. Subah uthhkar seedha …