This story is part of the Udhaar Ki Muskaan series
Ab tak aapne padha ki Muskaan ko pataane ke chakkar mein Mayur ne bol diya ki Paras to kisi aur ladki Sanaya ko chaahta hain. Yeh sunkar Muskaan ne Mayur ke saamne hi Paras ko phone laga diya.
Ab aage ki kahaani Mayur ki jubaani jaari hain…
Ab meri haalat kharaab ho gayi thi. Paras ki abhi tak Sanaya ke saaath dosti se jyada baat nahi badhi thi. Muskaan agar usko puchhegi to wo mana kar dega ki uska Sanaya se koi rishta nahi hain aur Muskaan ki najro se main aur gir jaaunga.
Paras ko phone milaate huye Muskaan ne phone ko speaker par rakh diya. Main aur Muskaan aamne saamne khade the aur beech mein ring karta hua uska phone tha. Saamne se Paras ne hello bola tha.
Muskaan: “Paras, tu yeh bata ki kya Sanaya teri girl friend hain aur tu usko pyaar karta hain? Tum dono relationship mein ho!”
Saamne se kuchh seconds …