This story is part of the Bistar Ki Rajneeti series
Ab tak aapne padha ki Suryakant ki beti Suhani ko dhaal bana kar Aparna ne Suryakant se apni maa ki bejaati ka badla liya aur saari hadein paar kar di.
Ab aage…
Apni aankhon ke saamne Suryakant ki beti Suhani ki jo haalat huyi thi uske baad Suryakant ko apne saare paapo ka ahsaas hua aur usne rajniti se sanyaas le liya.
Uske khilaaf abhi bhi ghotaale ka case chal raha tha isliye wo bhaag bhi nahi sakta tha. Magar uske jeevan me properties ke alawa kuchh nahi bacha tha, uski beti bhi usko chhhodkar chali gayi thi.
Ek taraf Deewan apni bezzati ka badal Aparna se lena chaahta tha to dusri taraf Aparna ko pata tha ki Deewan bhi Suryakant ki tarah hi kasurvaar hain.
Aparna ne soch liya ki wo Deewan ko kutta bana kar rakhegi aur us se apna badla legi. Wo usko apmaanit karne ka koi mauka nahi chhodti thi
Is beech ek din driver Rajesh aur uski biwi Shanti dono hi Aparna se milne aaye. Aparna ke asli maa baap to Rajesh aur uski biwi Shanti hi the.
Aparna ko un sabko apne yaha aaya dekh thoda aascharya hua. Usko laga jarur driver Rajesh ko Mita …