This story is part of the Shak, Sex Aur Satyaanaash series
Mere ek reader ne apni aapbiti mere saath share ki aur usko maine ek kahani me dhaal diya hain. Yeh kahani hain ek ladke Prashant ki. Aap usi ke najariye se yeh kahani padhiye.
Mera naam Prashant hain aur main 23 saal ka naujawaan hoon. Mere maa baap ka iklauta ladka hoon aur girl friend banaane ke chakkar me kabhi pada nahi kyuki main bahut shy raha hoon aur kam bolta hoon.
College khatm hote hi paas ke bade shahar me meri job lag gayi aur main maa baap ka ghar chhod kar naye shahar me rahne laga. Main apne career par concentrate kar raha tha aur ghar walen meri shaadi karwana chahte the aur main unko hamesha taal deta.
Ek baar jab main kuchh din ki chuttiyo me ghar gaya to ghar walon ne mujhe bola ki unhone ek ladki dekhi hain aur main ek baar us ladki ko dekh aur mil lu. Shaadi chahe to main baad main kar lu.
Ghar walon ka dil rakhne ke liye main taiyar ho gaya aur main apne parents ke saath ladki ke ghar gaya. Man me yahi tha ki waapis ghar aakar ladki ko reject kar dunga aur peechha chudaa lunga.
Ladki ko mere saamne laaya gaya aur meri sitti pitti …