Ye koi kahani nahi balki mere jeevan ka hissa hai. Ise maine bilkul waisa hi likha hai jaise ye bitaa. Isme kewal prem hai, vishuddh prem. Yeh mohabbat hai Gulnaz ki.
Khat-khat, khat-khat, darwaje par dastak hui to main uninda sa utha, darwaja khola to samne vo khadi thi. Jhat se maine pucha ki kaun si ungali se darwaja khatkhataya thaa?
To usne apni pahli ungali samne kar di.
Main use pakad kar foonk marne laga to usne apna hath chhudaya aur andar aakar apna saman rakhne lagi.
Main tab tak bistar par aa baitha tha aur vo bhi mere bilkul samne kursi dalkar baith gayi. Bhayankar gausse men, khaa jaane vaali nigaaahon se mujhe dekhte hue.
Haan, raat ko sharab pee thi… lekin nshe main itna bada kaun sa kand kar diya ki ye hyderabad se delhi aa pahunchi?
Ye soch kar main andar tak sihar gaya. Pta nhi kahan-kahan se pasina chhutne laga. Bacha-kucha hangover bhi dum daba kar bhaga nikla mujhe akela chod us sherni ke aage. Jo ab mera kya haal karne wali thi mujhe nahi pata.
Usne …